Hoga Musafir Jo Hoga musafir joHoga musafir jo jahan me aayegaSafar ka jahan muqaam chor jayegaIss safar me hote hain sath musafir bahutKoi kisi ke sath naa aaya jayegaJayenge yeh doulat yahan chor kar saareJism ko sirf do gazz kafan pehnaya jayegaSajaya nahi jayega phir heere motiyoun seZyada se zyada haar-e-gul pehnaya jayegaEk hi baat hai sachi har dammRuhh ka sath toh rabb hi nibhayega
Sar-e-Sehra Musafir Ko Sitara Yaad Rehta HaiSar-e-sehra musafir ko sitara yaad rehta haiMain chalta hun mujhe chehra tumhara yaad rahta haiTumhara zarf hai tum ko mohabbat bhool jati haiHumein to jis ne hans kar bhi pukara yaad rehta haiMohabbat mein jo doobaa ho use sahil se kya lenaKise is bahaar mein ja kar kinara yaad rehta haiBahut leharon ko pakda doobane wale ke haathon neYahi bas ek dariya ka nazara yaad rehta haiSadayein ek si yaksaniyat mein doob jati hainZara sa mukhtalif jis ne pukara yaad rehta haiMain kis tezi se zinda hun main ye to bhool jata hunNahi aanaa hai duniya mein dobaraa yaad rehta hai